Thursday 18 March 2010




‘Mughal garden ki kahani meri jubani’…
(A visit of mughal garden in president house)



13march ko main mughal garden dekhne pahuci ki aakhir kuch to hoga vaha aisa jisse ki vo itna mashoor hai aur insaan ka savbhav hota hi hai her mashoor cheez ko nazdeeg se dekhne ka, to main karib 2:00 baje vaha pahuchi bahut utsuk thi vaha ke najaro ko tasveer me kaid karne k liye par meri utsukata us waqt thori kam ho gayi jab mujhe pata chala ki vaha camera le jana mana hai …kar bhi kya sakte hai hum aakhir sarkaar ki baat to manni hi paregi chaliye koi baat nahi,bhir kaafi thi mugal garden ko dekhne walo ki unme ek mai bhi shamil ho gayi sare saamano ko bahar hi jama karvya ja raha tha to maine bhi vahi saman jama kar k aage ki or rukh kiya, thori checking k baad maine bare se gate me prevesh kiya vaha kayi raste mure the kuch khas nahi jama vaha ka najara, ek to camera na le ja pane se thora dukhi thi aur us par suraj dev apna prkop faila rahe the aur jo dekhne gayi thi vo theak tarhe se samajh nahi aa raha tha ki aakhir mughal garden hai kaha ek pal k liye to apni colony ka garden acha laga yaha ki apecha, par phir bhi aas nahi chori aaur aage bhari to ‘herbal garden’ ka board dikha chalo kuch to mila soch kar maine ander ki or kadam barhaye thora acha lagna shuru hua vaha har tahrhe k ayurvedic plants lage the har rog k liye ek pair,, aur socha ki madam president ko to koi bimari hi nahi hoti hogi ager hoti hogi to turant yaha se pudhe madam k samne prastut kiye jate hoge thori hasi aayi phir aage bhar gayi, mann me vahi se tarhe-tarhe k sawal suru ho gaye par sawalo ko dabate hue main aage k najare lene lagi thora aage jane par chota sa zoo bhi mila jasme hiran,khargosh,more batakh,barhesingha aur na jane kyun kyun se janwar aur pakshi the jinka main to theak se naam bhi nahi janti hu. Kher, hum aage ki or bahrte ja rahe the aur nayi-nayi kissm ke phool aur podhe dekh kar good feel kar rahe the vaha jitney log the unka apna najariya tha cheejo ko varnit karne ka..
Ab thori pyas si lagne lagi thi kyoki pata nahi kitni der se surya dev ki meharbani hum sabhi par bani hui thi, vaha sabhi cheejo ki achi vayvastha ki gayi thi jaghe-jaghe par pani aur vishram ki vayvastha thi. Maine thora pani piya aur aage ki or rukh kiya to bari se tasveer lagi thi madam president ki haath upper uthaye mano tasveer se nikal k hum sabko gale lagane wali hai ya sabke kast abhi hi dur kar degi, kher vaha pradershni lagi thi kisaano aur kuch logo ki jinhone kuch nayi tarhe ki cheejo ko nijaat kiya tha chahe vo gnna katne ki machine ho ya phir nayi tarhe se fasal ugane ka tarika bahut se kisan apne agent ke saath vaha baithe the kyo ki delhi k bahut kam logo ko hindi samjh me aati hai is liye vo un kisano ki bhasha ko to bilkul hi nahi samjh sakte hai. Kher, mai vaha se nikal ke aage ki or bhar gayi vaha garden 3 bhago me bata hua hai 1 rectangle, 2 long, 3 round me hai. Maine main garden me prevesh kyia to vaha bahut hi sunder phool the jinke karan main ek baar phir apne camre ko miss karne lagi aakhon me har najara kaid karne se jada manmohak use dubara dekhna hota hai, mujhe photography me dilcaspi hai isliye waha ka najara aur bhi lubhavna lag raha tha mujhe, par phir bhi vaha ke sunder phoolo aur unki sundart ne mujhe phir se sab kuch bhula kar apni or khich liya aur main unko dekhne me vayst ho gayi vaha har tahre ke phoolo ki lagbhag 4 se 5 kissme thi, sabke naam unke aage kage hue the, gulab ki to bahut jada variety thi unme se kuch k naam to bahut hi manmohak the jasie queen alijabeth, afil tower, king aur bhi isi tarehe se gulab ko naam diya tha acha lag raha tha unhe dekh k, aur vaha ki shobha ko bhrane me fountain yani ki favaro ki apni hi baat thi her tarhe k fountain the vaha bare aur kai chote-chote the vo to aur bhi ache lag rahe the, unhe chune ka mann kiya to idher-udher dekha aur dheere se pani to chu hi liya acha laga charo ore police wale aur waha ke karmchari ghum rahe the kuch jaghe per to military wale bhi khare the is liye najar bachana jaruri tha. Rectangle garden me musical fountain chal raha tha jab vo gane ki dhun per pani ke lehere uske saath jhum rahi thi to dil cahata tha ki bus yahi partibha aanti ek room de de kiraye per hi sahi aur yahi k ho k rahe jau, per pata tha ki ye ho hi nahi sakta. Musical fountain me kai gane the par sabhi desh bhakti ke hi the sun ker ek baar phir 26 january aur 15 august vali bhavna 13 march ko jagrit ho gayi thi sare gane us waqt bekar lagne lage, bus rang de basanti chola, ye desh hai veer jawano ka aur suno gaur se duniya walo… hum hai Hindustani, jaise gane khun me ek baar phir desh bhakti jagane lage the…
Phir vaha se aage nikale aur long garden me chalne lage jaha chalne per mujhe kuhd ko maharani jaisa lag raha tha to jo yaha ka malik ha uska to puchna hi kya! Vaha se phir round garden me aaye jaha ki sundarta ka varnan karne k liye mano shabd bhi kam per jaye her taraf aise phool jinko ki chune me bhi dar lage ki kahi chune bhar se murjha na jaye per phir bhi hai to insani fitrat hi unhe chune ka dil bhi karne laga aur jab ek phool ko chua to pata hi nahi chala k phool tha ya kagaj, kagaj bhi isse jada bhaar ka hota hoga charo or golayi me her tarhe ke phool the aur beech me bahut hi khubsurat sa pani ka fountain jo ki un phoolo ki khubsurati me char chand laga raha tha.. najara aisa tha ki maano itna khubsutar jaise swarg ka ek chota sa hissa ho , swarg to maine nahi dekha per suna hai ki bahut khubsurat hota hai to main usi ki sangya yaha dugi..
Saari khubsurati niharte hue achanak ek sawal mann me aaya ki hum sabhi jis najare ki tariff krte nahi thak rahe us najare ko unhone dekha bhi hai jinke liye ye sara intjaam hai, aur sawal aate hi jawab pane ki dhun char si gayi aur aakhir ker maine vaha khere police karmi se ye sawal puch hi liya usne bhi majakiya andaj me jawab diya ki- “nahi beta vo kaha dekhi hai pura garden bhuri ho gayi hai thak jati hai idher to aati hi nahi,yaha to hum log hi ghumte rahte hai..” jawab sun ker thori hasi se aa gayi ki sochiye jiske liye sab kuch hai unhone hi ise nahi dekha aur hamare liye saal me ek baar sirf 1 mahine k liye garden khulta hai to itni bhir hoti hai jiska koi andaja bhi nahi hota..phir phoolo ko dekha dhayan se to laga ki inki khubsurati u hi nahi bhari hai ye shayad hamre aane se kuch jada hi khus hoker khil gaye hai kuch phool murjhaye hone ke baad bhi khile-khile se lag rahe the aur hame jate dekh yahi bol rahe hoge k ab agle saal phir aana pleaseeee….